Surah Al-Baqarah: 14
وَإِذَا لَقُوا۟ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ قَالُوٓا۟ ءَامَنَّا ۖ وَإِذَا خَلَوْا۟ إِلَىٰ شَيَـٰطِينِهِمْ قَالُوٓا۟ إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِءُونَ
Tarjuma Roman Urdu:
“Jab ye un logon se milte hain jo iman laye, to kehte hain: hum bhi iman laye. Aur jab apne shayateen ke paas akelay hote hain to kehte hain: hum to tumhare sath hain, hum to sirf mazaak urate hain.”
![]()  | 
| Allah Ta'ala ki aibadat is a purpose | 
Word by Word Tarjuma:
Arabic Roman Urdu
وَإِذَا Aur jab
لَقُوا۟ Mile
ٱلَّذِينَ Un logon se jo
ءَامَنُوا۟ Iman laye
قَالُوٓا۟ Woh kehte hain
ءَامَنَّا Hum iman laye
وَإِذَا Aur jab
خَلَوْا۟ Akelay hote hain
إِلَىٰ Ki taraf
شَيَـٰطِينِهِمْ Apne shayateen (buray saathi)
قَالُوٓا۟ Kehte hain
إِنَّا Beshak hum
مَعَكُمْ Tumhare sath
إِنَّمَا Sirf / bas
نَحْنُ Hum
مُسْتَهْزِءُونَ Mazaaq udate hain
Is aayat mein Allah Tala aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Bata rahe hain ki Kuchh Aise log bhi Hain Jo Jab Imaan Walon se Milte Hain To Kahate Hain Ki Ham Imaan lae Hain.
lekin Jab vah Apne Jaison ki taraf Jaate Hain Jo UN Logon Ko Kahate Hain Ki Ham to aapke sath hi hain unke Sath To Ham majak Karte Hain.
Unka is kam ka maksad yah Hota Tha ke vah musalmanon mein Chupke Se Musalman Bankar baithte the aur Unki andruni Baton Ka Pata Lagate the .
aur FIR Apne Logon Mein jakar unko uski khabren dete the matlab jasusi Karte The musalmanon ki vah log aur yah bhi munafik hi the Jo Jahan baithte the UN Jaise Ban Jaate the Unka Apna Koi Rang nahin tha.
Aur Yahan per Jo dusri Baat Hamen pata chal rahi hai vah yah hai ki majak mein bhi Jhooth bolna acchi baat nahin hai vah Bhi Ek munafik Ki alamat Hai Jo Insan majak Mein Jhoot bolta hai .
Hamen Apne dekhna chahie ki kya Ham majak Mein Jhooth bolkar Apne Kisi Pyare ko Dukh ya taklif To Nahin de rahe aur FIR bad Mein Ham Kahate Hain.
Ki sorry sorry majak tha aap sorry Karke to relax Ho Jaate hain lekin jo Insan Pareshan hota hai vah relax Nahin Hota.
Surah Al-Baqarah: 15
ٱللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ وَيَمُدُّهُمْ فِى طُغْيَـٰنِهِمْ يَعْمَهُونَ
Tarjuma Roman Urdu:
“Allah unhi ka mazaak udata hai aur unhein unki sar-kashi mein dheela chhod deta hai ke woh bhatak te rahte hain.”
Word by Word Tarjuma:
Arabic Roman Urdu
ٱللَّهُ Allah
يَسْتَهْزِئُ Mazaaq udata hai
بِهِمْ Unka
وَيَمُدُّهُمْ Aur unhein dheela chhod deta hai
فِى Mein
طُغْيَـٰنِهِمْ Unki sarkashi mein
يَعْمَهُونَ Woh bhatak te rahte hain
Allah Tala UN Logon se majak karta hai jo log samajhte Hain Ki Ham majak kar rahe hain vah Jante hi Nahin .
Allah Tala Ne UN Logon Ko dheel de rakhi hai yani UN Logon Ko unke Marji per Khula Chhod Rakha Hai Ke Tum Jo Chaho vah karo.
Aur FIR vah log apni Sar kashino mein bhatkate rahte hain UN Logon Ko lagta hai ki Ham bilkul theek hai Ham Kuchh galat nahin kar rahe.
Bolo Aise the Jo musalmanon Ko Dhokha dete the aur aaj ke Daur Mein Ham Dekhen to sabse bada Dhokha Insan Khud Ko deta hai.
Insan apne aap ko Samajhta Hai Ki Main bilkul theek hun main sabse perfect hun Jab ham log koi acchi baat sunte Hain To Hamara Imaan badh jata hai .
aur ham sochte Hain Ki Ab Humne galat nahin karna lekin Jaise hi Ham usse hatte Hain To Sab Kuchh Bhul Jaate Hain.
Hamen sabse pahle mukhalis hona hai apne aap se Jab ham Khud Ko Gunahon se bacha Lenge To Ham dusron Ko Bhi bahut acche se Gunahon se bachne ka tarika Bata Sakenge Inshallah.
Surah Al-Baqarah: 16
أُو۟لَـٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ ٱشْتَرَوُا۟ ٱلضَّلَـٰلَةَ بِٱلْهُدَىٰ فَمَا رَبِحَت تِّجَـٰرَتُهُمْ وَمَا كَانُوا۟ مُهْتَدِينَ
Tarjuma Roman Urdu:
“Yahi woh log hain jin logon ne hidayat ke badle gumraahi khareedi, to unki tijarat ne koi faida na diya, aur na hi woh hidayat pa sake.”
Word by Word Tarjuma:
Arabic Roman Urdu
أُو۟لَـٰٓئِكَ Yehi log
ٱلَّذِينَ Jo log
ٱشْتَرَوُا۟ Khareeda
ٱلضَّلَـٰلَةَ Gumraahi
بِٱلْهُدَىٰ Hidayat ke badle
فَمَا To nahi
رَبِحَت Faida diya
تِّجَـٰرَتُهُمْ Unki tijarat
وَمَا Aur nahi
كَانُوا۟ Woh thay / unhone
مُهْتَدِينَ Hidayat paane wale
Yahan per Allah Tala Farma Rahe Hain Ki Yahi log Hain Jin Logon Ne kharida Hai gumrahi Ko Hidayat Ke Badle Mein theek hai .
Aur Jis chij ko yah fayda mat samajh rahe hain vah unko Kuchh Bhi fayda Nahin Dene Wali Aur bolo Khud Imaan laane wale hi nahin hai .
wah Imaan laane wale Kyon Nahin Hai?
Hadith Roman Urdu mein:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Dohray chehre wala insan Allah ke nazdeek sab se bura hai jo kuch logon ke paas ek chehra lekar jata hai aur doosron ke paas doosra chehra.”
(Bukhari & Muslim)
Apni Zindagi Ka purpose dhundhe ke Aakhir Hamen kya chahie aur Hamen kya karna hai aur FIR use per date Rahe.


No comments: