Search Your Purpose — Quran, Hadith Islamic Education

Recent in Sports

Surah Baqarah ki 3rd Ayat ka terjama

 Surah Baqarah ki 3rd Ayat


وَالَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْكَ وَمَا أُنزِلَ مِنْ قَبْلِكَ وَبِالْآخِرَةِ هُمْ  

.  يُوقِنُونَ

Muttaki  ki pehchan


1. Mukammal Tarjuma :


Aur woh jo iman late hain us par jo aap par nazil kiya gaya yani Quran aur us par jo tum se pehle nazil kiya gaya yani Taurat, Injeel, Zaboor waghera aur aakhirat par yaqeen rakhte hain.


2. Word by Word Tarjuma


وَالَّذِينَ : Aur woh log jo


يُؤْمِنُونَ : Iman late hain


بِمَا : Us par jo


أُنزِلَ :Nazil kiya gaya


إِلَيْكَ :Tum par (ya’ni Nabi ﷺ par)


وَمَا : Aur jo


أُنزِلَ : Nazil kiya gaya


مِنْ قَبْلِكَ : Tum se pehle peghambaron par


وَبِالْآخِرَةِ :Aur aakhirat par


هُمْ : Wohi log


يُوقِنُونَ :Yaqeen rakhte hain Puri tasdeeq karte hain

Is Ayat mein bhi muttakim ke bare mein bataya ja raha hai. Pichli aayat mein Humne padha tha ki jo muttaki Hote Hain woh gheeb per Imaan late .

Hain aur is aayat mein Allah Tala Hamen Bata rahe hain ke gheeb ki chijen kaun si hai.


Is aayat mein Allah Tala aap Sallallahu Alaihi Wasallam se baat kar rahe hain ke vah Log bhi mutki hai jo Imaan late Hain Use chij per Jo Humne aap per najil ki matlab Quran pak.


aur use per bhi Imaan late Hain Jo Humne aapse pahle dusre ambiya per nazil kiya. Matlab Thorat zoboor aur injeel Jinka majmowa ab Aakhir mein aap per nazil kar diya Gaya.


Is Sab ke sath vah log aakharat ke din par bhi yakin rakhte Hain ke Kayamat Aaegi aur ham sabka hisab hoga acche kam Karenge to Jannat milegi aur Agar Shaitan Ka Sath Denge to uske sath Aag mein jana padega.

Kyunki yah to Vada Hai Allah ka Shaitan ne Allah Tala se mohlat Mangi ke Allah Tala aap mujhe mohlat de de Ki Main Qayamat Tak na marunga.


Shaitan ne Allah Tala Se Kaha Tha Ki Main aapke bandon Ko vargalan  ga Samne se daen se baen se aur Har Taraf se Allah Tala ne farmaya ke theek hai Jo Mere Bande Hain woh kabhi bhi Tumhara Sath Nahin Denge aur jo Tumhara Sath Denge woh tumhare sath hi jaenge.

Mukhtasar Paigham


Is ayat mein hidayat yafta logon ki teen bunyadi sifat aayi hen .


1. Nabi ﷺ par nazil Qur’an par iman,

2. pehle Anbiya’ par nazil wahy ki tasdeeq,

3. Aakhirat par pukka yaqeen.

Yeh Tamam Aadat Milkar Insan ko pakka Momin aur mutki banate hain.


3. Hadees :


Rasool Allah ﷺ ne farmaya:


مَنْ آمَنَ بِاللَّهِ وَبِرُسُلِهِ، وَصَلَّى الصَّلَوَاتِ الْخَمْسَ، وَصَامَ رَمَضَانَ، كَانَ حَقًّا عَلَى اللَّهِ أَنْ يُدْخِلَهُ الْجَنَّةَ

(Ṣaḥīḥ al-Bukhārī 3445)


Jo Allah par aur uske Rasoolon par iman laya, namaz padhi, Ramadan ke roze rakhe, Allah par ye haq hai ke usay Jannat mein daakhil kare.


Ye hadees is ayat se milti hai kyunke isme bhi iman bil-Rasool, pehle ke Rasoolon ki tasdeeq aur aakhirat par yaqeen ka zikr hai.

#Islamic content # Qur’an #hdees# surat bakra ki aayat no: 3


No comments:

Powered by Blogger.