أُو۟لَـٰٓئِكَ عَلَىٰ هُدًۭى مِّن رَّبِّهِمْ ۖ وَأُو۟لَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلْمُفْلِحُونَ
Puri Ayat ka Tarjuma :
“Yehi log apne Rab ki taraf se hidayat par hain, aur yehi log asal mein kamiyab hone wale hain.”
![]()  | 
| Flah pane wale log Kaun Hote Hain | 
Word by Word Tarjuma:
أُو۟لَـٰٓئِكَ = Yehi log
عَلَىٰ = par
هُدًۭى = Hidayat
مِّن = Ki taraf se
رَّبِّهِمْ = Unke Rab ki
وَ = Aur
أُو۟لَـٰٓئِكَ = Yehi log
هُمُ = Wohi hain
ٱلْمُفْلِحُونَ = Kamiyab hone wale
Tafseer:
Is ayat mein Allah Taala un logon ki taraf karte hain jo Quran ki hidayat ko apna lete hain. Yehi asal kamiyabi hai duniya ki bhalayi aur
aakhirat ki kamyabi. Jo log Quran ki rahnumai par amal karte hain unhi ke liye asal falaah hai.
Pichhali Ayat mein jo Humne padha tha Ke mutaki Log woh Hote Hain Jo Allah Tala ki Banai Hui Har chij per yakin rakhte Hain Ab Yahan per bhi Allah Tala ne unhin muttaki Logon Ko lakab Diya Hai falah pane Walon ka.
Allah Tala ne qurane Pak ke Shuru Mein hi Sab Kuchh Samjha Diya ke Aakhir quran Kyon najil Kiya Gaya kis per najil Kiya Gaya aur isase Kaun fayda Utha sakta hai.
Hadees :
Ap ﷺ ne farmaya:
“Sab se behtareen tum mein woh hai jo Qur’an seekhe aur sikhaaye.”
(Bukhari)


No comments: