Search Your Purpose — Quran, Hadith Islamic Education

Recent in Sports

Surat bakra ki aayat 2 ka terja r tafseer

 Allah tala ne Quran pak ka aaghaz kin alfaz se kya? 


Taaruf:


Quran e pak wo kitaab he jis men Allah tala ne tmaam aasmani kitabon ki tezdeeq ki he. Toraat zoboor injeel ke wo kitaben b Allah ki traf se hen r osmn b aeek 1 Allah ki aibadat ka ziker aaya he. 

Quran mn shaq nhn he


Aayat no 2:

. ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ فِيهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ


Ye wo kitab he jismen koi shaq nhn he. Is men hidaayat he mottakeen logon ke liye. 


Lafz "ذَٰلِكَ الْكِتَابُ"


Allah Tala ne Quran ko "ذَٰلِكَ الْكِتَابُ" keh kar bayan kiya. Jalikal kitabo ka Matlab Hai Ki vah Kitab ISI Tarah jaise ham kisi Ko bulate Hain Izzat se ahatram se ke aap varna ek Insan ke liye aur hajir Insan ke liye Ham Tum istemal Karte Hain lekin Yahan aap istemal kyunki ham use Insan Ki Izzat Karte Hain 


Aur Yahan per Jo Allah Tala Ne Quran pak ko jalikal kitabon kahan hai yah is vajah se kaha hai ki Allah Tala Ne Lohe Mehfooz wale kurane Pak ki taraf Ishara kiya hai jo mahfuj hai. 


Lafz "لَا رَيْبَ فِيهِ"


Quran ke baare mein Allah Taala ne farmaya:

لَا رَيْبَ فِيهِ

Allah Tala Ne Quran E Pak ke awaz mein Hi Bata Diya ki is Quran Mein Koi shak nahi hai Vishal ke Taur per jab Ham kurane Pak ko samajhna Shuru Karte Hain To dusre log Ham per Hanste Hain ke yah Kuran padega yah Kuran theek hai. 


UN Sab Ko patane ke liye Allah Tala Ne farmaya ki Tumhen Pareshan hone ki koi jarurat Nahin Aisi Baat Nahin Hai Ki Tum Kisi duplicate Baat Ko Man rahe ho ya Aisi baten Amal kar rahe ho. 


Jo theek Nahin Hai Ya kabhi bhi vah galat ho sakti hai ya Kabhi Koi use galat sabit kar sakta hai Aisi Baat Nahin Hai Yah Allah ki taraf se najil hua hai aur ismein na to Koi shak hai aur na hi Kabhi ismein Koi shak Paida ho sakta hai. 



Allah Ta’ala ne ek aur jagah farmaya:


إِنَّهُ لَقَوْلٌ فَصْلٌ وَمَا هُوَ بِالْهَزْلِ (Surah At-Tariq: 13-14)


Yani Quran faisla kun kalaam hai, is mein mazaaq ya khel nahi. Kyunki Yah Allah Tala ki taraf se najir hua hai isiliye ismein Koi majak Nahin Hai. 


Lafz "هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ"


Allah Tala ne Quran ki asli sifat bayan ki:


هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ


Yani yeh Quran un logon ke liye hidayat hai jo mutaqi hain. Hidayat ka matlab hai seedha raaste ko dekhna aur use Talash karna aur jab Sidha Rasta mil jaaye to use per dat Jana. 

Aur jo Sidha Rasta Hai vah Sirf Hamen Jannat ki taraf Lekar jata hai aur vah hai Kuran ko sikhana aur use per Amal karna Quran ko sikhenge to hi Ham Sidhe Raste Ka Pata Laga Sakenge. 


Mutqi Kaun Hote Hain?


Mutqi wo log hote hain jo Allah ka khauf rakhte hain aur apni zindagi ko uske hukum ke mutabiq guzarne ki koshish karte hain. Quran mein un ki sifat kuch yun bayan hui. 


إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ (Surah Al-Hujurat: 13)


Yani sabse izzat wala wo hai jo sabse zyada taqwa wala ho.


Mutqi insaan woh hai jo:


Gunahon se bachne ki koshish kare.


Allah ki ita’at mein rahe.


Apne dil aur amal dono ko saaf rakhe.


Apne aamaal se Allah ki raza talash kare.



Quran aur Mutqeen ka Rishta


Mutaken log wo hen Jo taqwa wale hen. Taqwa wale kon hote hen wo jo Allah tala se derte hen. 


Allah tala se kese derte hen? 

Allah tala se derna aese hota he ke hm jo b kaan m kren apne pyare Allah ke liue kren r hmesha dill mn yad rakhen ke Allah tala dekh rhe hen to her kam sidha ho jata he. 


Rasool Allah ﷺ ne farmaya:


خَيْرُكُمْ مَن تَعَلَّمَ الْقُرْآنَ وَعَلَّمَهُ (Bukhari)


“Tum mein se behtareen wo hai jo Quran seekhe aur doosron ko sikhaye.”


Iska matlab hai ke Quran sirf tilawat ki kitab nahi, balke seekhne, samajhne aur doosron tak pohanchane ki kitab hai.

kion ke hm aakri ummat hen hmare bad koi or ummat nhn ae gi. Ab den bhelane ka kam hm sb per he. 


Roohani Pegham


Is ayat ka pegham hamesha ke liye hai:


1. ذَٰلِكَ الْكِتَابُ  Quran Allah ki taraf se sabse buland martaba kitab hai.



2. لَا رَيْبَ فِيهِ  Is mein kisi qisam ka shakk nahi.



3. هُدًى  Ye hidayat hai, insaan ko seedha raasta dikhati hai.



4. لِّلْمُتَّقِينَ  Asal faida un logon ko hai jo taqwa walay hain.



Aaj Ki Zindagi Mein Is Ayat Ka Asar


Aaj insaan ki zindagi mein stress, gumrahi aur confusion bhara hua hai. Lekin Quran kehte hai:


لَا رَيْبَ فِيهِ


Iska matlab hai ke agar hum Quran ko apna rahnuma bana lein to zindagi ka har shakk door ho jata hai. Quran insaan ko barabar ka balance deta hai  dunya ke kaam aur akhirat ke liye raasta.


Natija:


Surah Baqarah ki dusri ayat Quran ke asal maqam ko bayan karti hai. Ye kitaab Allah ka kalaam hai jismein koi shakk nahi, aur jo sirf mutaqeen ke liye hidayat ka zariya hai. Har insaan ke liye zaroori hai ke woh apne andar taqwa paida kare taa ke Quran uske liye roshni aur rahnumai ban jaye.


Ye tafseer apko search your purpose se sikhai ja rhi he. 



No comments:

Powered by Blogger.