Search Your Purpose Quran, Hadith Islamic Education

Recent in Sports

Fsaad Kerne Wale Kon Hote Hen ?

 Surah Al-Baqarah: 11


وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا۟ فِى ٱلْأَرْضِ قَالُوٓا۟ إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ

Hm konse raste per hen monafiq ke ya ache logon k 


Tarjuma :


“Jab unse kaha jata hai ke zameen mein fasad na karo, to woh kehte hain: hum to sirf islaah karne wale hain.”


Word by Word Tarjuma:


Arabic Roman Urdu


وَإِذَا Aur jab

قِيلَ Kaha jata hai

لَهُمْ Unse

لَا Nahi

تُفْسِدُوا۟ Tum fasad karo

فِى Mein

ٱلْأَرْضِ Zameen

قَالُوٓا۟ Woh kehte hain

إِنَّمَا Bas / sirf

نَحْنُ Hum

مُصْلِحُونَ Islaah karne wale

Ayat number 11 ki tfseer mere andaz mn.

Is aayat mein Allah Tala Farma Rahe Hain ke UN Logon se kaho Fasad mat karo matlab kin Logon se munafikin se kaho ke Fasad mat karo Yahan per Hamen munafikin ki ki Ek Aur Nishani Ka Pata Chala Hai.

 Ki vah Fasad karte hain aur FIR sath mein Kahate Hain Ki Ham to Koi Fasad nahin kar rahe Bal ke Ham to Islam karna chahte hain.

Jo munafik Hote Hain vah sirf Idhar Ki Baat Udhar jakar batate Hain aur Yahan per ham Agar Dekhen kya Hamari zindagi Mein Bhi Koi Aisa insan hai .

jo Hamen Hamari galtiyan Sabke Samne batata hai aur Kahta Hai Ki Main To islah karna chahta hun Varna Meri aur koi vajah nahin hai.

Islah Karne Wale mein aur munafik mein kya Fark Hai?

Jo Insan aapki islah karna chahta hai vah aapko Akele Mein samjhata Hai aapki galtiyan Akele Mein batata hai na ki Sabke Samne Sharminda karta hai .

aur Jo munaphic Hota Hai vah sirf ek enjoyment Chahta Hai Jiski vajah se vah Sabke Samne aapki beizzati karta hai aur usko is chij Se Achcha lagta hai .

FIR Agar usse Koi kah De Ki Aisa nahin karna tha to vah Kahta hai ki mera maksad sirf uski islah karna tha.

Surah Al-Baqarah: aayat number 12


أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلْمُفْسِدُونَ وَلَـٰكِن لَّا يَشْعُرُونَ


Tarjuma :


“Agah ho jao! Yaqeenan wahi log fasad karne wale hain, lekin unhein ehsaas nahi.”


Word by Word Tarjuma:


Arabic Roman Urdu


أَلَآ Agah ho jao

إِنَّهُمْ Yaqeenan woh

هُمُ Wohi hain

ٱلْمُفْسِدُونَ Fasad karne wale

وَلَـٰكِن Lekin

لَّا Nahi

يَشْعُرُونَ Mehsoos karte / ehsaas karte

Ayat number 12 ki Tafseer mere andaz mn.

Is aayat Mein Allah Tala insanon ko acche se Bata rahe hain ki Vahi log Hain Jo Fasad Karne Wale Hain aur is chij ka

 UN Logon Ko Khud bhi pata nahin chalta Kyunki vah log Shaitan Ki Baton Mein Aaye Hote Hain.

Yah aayat bahut hi jyada sakht hai ismein hamen bhi sochana chahie ki kya ham sach mein islah karne walon Mein Aate Hain ya Hamari ginti bhi 

UN munafikin ke sath Aati Hai Jo Fasad Karne Wale Hain agar Hamen mahsus Ho ke Ham Bhi Apne pyaron aur apne doston ke sath Aisa Hi Karte Hain.

To ab bus Yahi waqt hai Khud ki islah karne ka khud ko sawarne ka khud ko Achcha banane ka Kyunki Kayamat per Hak hai aur vah Aane hi Wali Hai Humne Allah Tala Ke Samne Khade hona hai .

Surah Al-Baqarah:ayat number 13 


وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ ءَامِنُوا۟ كَمَآ ءَامَنَ ٱلنَّاسُ قَالُوٓا۟ أَنُؤْمِنُ كَمَآ ءَامَنَ ٱلسُّفَهَآءُ ۗ أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلسُّفَهَآءُ وَلَـٰكِن لَّا يَعْلَمُونَ


Tarjuma :


“Jab unse kaha jata hai: iman lao jaise aur logon ne iman laya, to woh kehte hain: kya hum iman laen jaise bewakoof lae? Agah ho jao! Yaqeenan wahi bewakoof hain, lekin unhein ilm nahi.”


Word by Word Tarjuma:


Arabic Ruman Urdu:


وَإِذَا Aur jab

قِيلَ Kaha jata hai

لَهُمْ Unse

ءَامِنُوا۟ Iman lao

كَمَآ Jaisa

ءَامَنَ Iman laya

ٱلنَّاسُ Logon ne

قَالُوٓا۟ Woh kehte hain

أَنُؤْمِنُ Kya hum iman laen

كَمَآ Jaisa

ءَامَنَ Iman laya

ٱلسُّفَهَآءُ Bewakoof (log)

أَلَآ Agah ho jao

إِنَّهُمْ Yaqeenan woh

هُمُ Wohi hain

ٱلسُّفَهَآءُ Bewakoof

وَلَـٰكِن Lekin

لَّا Nahi

يَعْلَمُونَ Woh jante / ilm rakhte

Ayat number 13 ki Tafseer:

Is aayat Mein Allah Tala purane Waqt Ke munafikin ka Jigar kar rahe hain Jo log aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass Aate the Din Ki majalis Mein baithte the .

 jab UN Logon se Kaha jata tha ke Imaan le aao to vah Log Kahate the ki Ham Kyon Imaan Le Aaye kya Hum Imaan Le Aaye UN bewakoof logo ki tarah.

 aur vah Yahan per bevkuf Imaan Walon Ko Kahate the yani sahaba Karam ko matlab Unki Najar mein Imaan laane bewakoof log the halanki 

bevkuf Imaan wale Nahin balki vah Khud the aur vah is bare mein koi Shaoor hi nahin rakhte the

Allah Tala Yeh Baat UN sahaba Karam Ko Bhi Bata rahe hain aur sath mein hamen bhi Bata rahe hain aur kyamat Tak Ke Logon ke liye Yahi Baat Hai Ke ke bevkuf vah the Jo Imaan nahi late the 

Na ke Imaan laane wale Allah per yakin Karne Wale Allah Tala ko Khush Karne Wale Kam Karne Wale aaj ke Daur Mein Ham bhi UN Logon ke majak udate Hain Jo Din failane Ka kam karte hain ya karna Shuru Karte Hain.

Aaj ke block se Humne Kya Sikha hai?

Humne Khud Ko dekhna hai ki Ham kahan Khade Hain Kya Ham dusron ka majak udate hain ya dusron ka Dil rakhte Hain

Agar Hum Dil Dukhane Walon Mein Hai To Hamen Khud Ko change karna hai aur Agar Ham Aisi Jagah pe hain ke dusre log Hamara Dil dukhate Hain .

To Hamen Aise Logon Ko ignore karna hai Un per dehan Nahin dena vah Jo kar rahe hain.

 uska nuksan woh Khud Hi uthaenge Inshallah Hamare Pyare Allah Tala Sabko Dekh Rahe Hain hamen bhi aur unko bhi bus Hamen dhundhna hai ki ham Sahi Jagah per hain ya nahin

Hadith Roman Urdu mein:


Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

“Momin wo hai jis se logon ko aman milein, aur Muslim wo hai jiski zubaan aur haath se log mehfooz rahen.”

(Nasai, Ibn Majah)


No comments:

Powered by Blogger.