إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ سَوَآءٌ عَلَيْهِمْ ءَأَنذَرْتَهُمْ أَمْ لَمْ تُنذِرْهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ (6)
خَتَمَ ٱللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ وَعَلَىٰ سَمْعِهِمْ ۖ وَعَلَىٰٓ أَبْصَـٰرِهِمْ غِشَـٰوَةٌۭ ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ (7)
Puri Ayat ka Tarjuma :
Ayat 6:
“Beshak jin logon ne kufr kiya, unke liye barabar hai, aap unhein daraen ya na daraen, woh iman nahi laenge.”
Ayat 7:
“Allah ne unke dilon par muhr laga di hai, aur unke kaanon par bhi, aur unki aankhon par parda hai, aur unke liye bohot bara azaab hai.”
Word by Word Tarjuma:
 |
Hidayat ki talash |
Ayat 6:
إِنَّ Beshak
ٱلَّذِينَ Woh log jo
كَفَرُوا۟ Kufr kiya / inkaar kiya
سَوَآءٌ Barabar hai
عَلَيْهِمْ Un par
ءَأَنذَرْتَهُمْ Aapne daraaya unko
أَمْ Ya
لَمْ تُنذِرْهُمْ Aapne nahi daraaya unko
لَا يُؤْمِنُونَ Woh iman nahi laenge
Ayat 7:
خَتَمَ Muhr laga di
ٱللَّهُ Allah ne
عَلَىٰ Upar / par
قُلُوبِهِمْ Unke dilon par
وَ Aur
عَلَىٰ Upar / par
سَمْعِهِمْ Unke kaanon par
وَ Aur
عَلَىٰٓ Upar / par
أَبْصَـٰرِهِمْ Unki aankhon par
غِشَـٰوَةٌۭ Ek parda / dhakkan
وَلَهُمْ Aur unke liye
عَذَابٌ Azaab
عَظِيمٌ Bohot bara
💖Thora smajhne ki koshish:
AB is aayat number 6 mein Allah Tala aap Sallallahu alehi vasllam Se Kya Farma Rahe Hain ke Jin Logon Ne kufra Kiya vah Imaan Nahin laenge aap Chahe unhen daraye Chahe Na daraye .
Yahan per Jo kufra ka jikr hua hai uska matlab hai Kisi bhi chij ko Allah Tala ki Bataye Hue aakamat ko Chhupa Lena Kisi Ko batana na ya Khud bhi Amal Na Karna.
Kufra karne wale log Kaun Hain?
Woh log jinhone ghab ka Inkar Kiya aur Allah ka Inkar Kiya rasulon ka Inkar Kiya kitabon ka Inkar Kiya Jin Logon Ne Inkar Kiya unhone kofr Kiya .
aur Jin Logon Ne Amal Kiya yakin Kiya Imaan lae wo log muttaqeen hue.
Aap khud soche ki hum Kisi bhi chij ka Inkar kyon karte hain Kyunki Hamen vah chij acchi Nahin lagti isiliye Ham Inkar Karte Hain.
To woh Log Bhi Jo Nahin mante woh Inkar Karte Hain Kyunki vah samajhna hi nahin Chahte Islam ko Allah Ko Janna hi nahin Chahte is vajah se Inkar Karte Hain.
Is chij ko Ham Aise samajhte Hain ki aap mobile chala rahe hain aur use per aap apna favourite Koi drama dekh rahe hain aur aapki mamma aapko Awaaz Deti Hai Ki Beta meri baat suno.
aapko uski Awaaz nahin aati Kyunki aapki tavajjo Nahin Hai aapki tavajjo jo hai vah sari ki sari use drame per hai aapko awaaz bhi nahin ai.
❤️To Agali aayat Mein Mohar Laga Di Allah Tala Ne unke Kano par aur unke Dil per Kyon Mohar Laga Di Kyunki vah samajhna Nahin Chahte vah Janna hi nahin Chahte isliye Allah Tala Ne unke Dil per aur kanon per Mohar Laga Diya.
lekin Allah Tala Ne Unki Jo Aankhen Hain uske upar Mohar Nahin Lagai uske upar Parda dala hai. Jahan per aap Allah Tala Ki Mohabbat Ka andaza lagaen ki
Allah Tala Apne bandon se Kitni Mohabbat Karte Hain Allah ka Banda Jitna Bhi Na Farman Ho Allah Ki Baat Na manta ho na farmaniya karta ho Fir Bhi Allah Tala Apne Bande ke liye aek aakhri option rakhte hen .
Ager koshish kro ge to hdayat ko paa lo ge. Kyunki Allah Tala Ne baki sab Kuchh Hamen Bina Mange Diya Hai jo Hamen Aankhen bhi Kan Diye jaban Di Naat Diya aur Hamen body bhi aur uske alava.
Hamen Sab Kuchh Sikhaya Chalna Fir Na bolna Sab Kuchh aur FIR Duniya Mein Bhi Hamari jarurat Ki Har chij Rakhi Jis Jis chij Se Ham fayda Utha sakte hain.
Bus ek chij hai Jo Allah Tala Bina Mange Nahin dete Aur vah Hai Hidayat aur Aisa nahin hai ki Hidayat ka Hamen Pata Kaise chalega ki Ham Hidayat Mange Aankhen Khuli hain na Aankhon per sirf Parda Hai .
Woh Parda hatta hai aur jab Hatta hai to aapko Allah Tala ki batai Hui chijen acchi Lagti hain Ek Lamhe ke liye usmein aapke liye
Hidayat Chhupi Hui hoti hai aur vah aapko dhundhni hoti hai aur us per dat Jana Hota Hai.Allah Tala hmen Islam pr sabit qadam rakhe aameen.🥰🥰🥰
No comments: