Search Your Purpose Quran, Hadith Islamic Education

Recent in Sports

Jhooth ki buniyadi vajah kya hoti hai?

 Al-Baqarah: 10


فِى قُلُوبِهِم مَّرَضٌۭ فَزَادَهُمُ ٱللَّهُ مَرَضًۭا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌۢ بِمَا كَانُوا۟ يَكْذِبُونَ

Puri Ayat ka Tarjuma Roman Urdu:

“Unke dilon mein ek bimari hai, to Allah ne unki is bimari ko aur zyada kar diya, aur unke liye dardnaak azaab hai, is wajah se ke woh jhoot bolte the.”

Dill ki bimariyan r onka anjaam


Word by Word Tarjuma:


Arabic Roman Urdu


فِى Mein

قُلُوبِهِم Unke dilon mein

مَّرَضٌۭ Bimari

فَزَادَهُمُ To zyada kar di unhein

ٱللَّهُ Allah ne

مَرَضًۭا Bimari

وَلَهُمْ Aur unke liye

عَذَابٌ Azaab

أَلِيمٌۢ Dardnaak

بِمَا Baat ke sabab se

كَانُوا۟ Woh hamesha

يَكْذِبُونَ Jhoot bolte hen 


Hadith Roman Urdu mein:


Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

“Jhoot se bacho, kyunke jhoot badkari ki taraf le jata hai, aur badkari jahannum ki taraf le jati hai.”

💓Bukhari & Muslim

Unke Dilon Mein Bimari hai kis chij Ki Bimari hai munafath Ki Bimari Jhoot bolne Ki Bimari bad ko chhupane Ki Bimari bas Allah Tala Ne Unki Bimari ko Badha diya hai aur unke liye Azad hai bahut hi dardnak .


Yahan per Jo Aleemon use Hua Hai uska matlab hai aisa Azab Jo musalsal taklif de raha ho jismein Koi Waqt Na Ho koi aisa Wafa Jiski vajah se aap Thodi Si Sahi nikal len aur yah sab Kyon Hai Kyunki vah log Duniya Mein Jhooth bolate the.

Aur Hadees ka mafoom hai jo Hadis Ham Sab Nahin Suni Hogi 

ki jo manafik hoga vah Kayamat Wale Din jahannum ke sabse Aakhri darje Mein Hoga aur vah sabse Jyada Azab Mein hoga Kis vajah Se itne Azaab Mein hoga .

jhooth ki vajah se aur Jhooth kaun sa? 

Vah Jhooth Aisa Hai Ke Jab vah Kisi Ke Sath hote hain to UN Logon se jo Kahate Hain vah Karte nahin hain Jhuthe daave Karte Hain Jo Insan Jhutha Hota Hai vah mashre mein bigaad ka Sabak banta hai.

Is Sab Ko Hum Ek Misal ke jarie samajhte Hain

Agar aap apne ghar mein hain aur aapki tabiyat theek nahi hai aap doctor ke pass Jaate Hain To doctor aapko batata hai Ke aapko Dil Ki Bimari hai to aap kya karenge Pareshan Ho jaenge Kyon Pareshan Honge .

Kyunki Puri Jindagi Ka daro Madar Dil per hi hota hai Agar Dil khatm Ho Jaaye ya kharab ho jaaye to Insan bhi khatm ho jata hai.

ISI Tarah Jo Piche Humne sari nishaniyan Padhi Hain unmen se agar koi ek ya sari Hamen hongi to hamare Imaan ke khatm hone ka Khatra hai Humne dekhna hai ki kya inmein Se Hamare andar Koi Bimari Hai To Nahin jhooth ya  shak ki koi mimari.

Jhoot kya hota hai aur uski buniyadi vajah kya hoti hai?

Jhooth ki buniyadi vajah Dil Ka bimar Hona hai Jab Dil bimar Hota Hai to Insan vah baten karta hai jo vah Hakikat mein Karta Nahin Hai. Taqwa Dil Ki kaifiyat Hai kufr ka talluk bhi dil se hai.

Asal mein Aaj janenge dill ke bare mn dill kya he?
Agar ap insaan ki zindgi ki ibtdaa dekhen toh sabse Pehle Insan ke Jism mein kaun si chij pahle kam karna Shuru Karti Hai vah Dil Hai aur sabse pahle Jo chij kam karna band kar de to Insan ki Jindagi khatm Ho Jaati Hai Aur vah Bhi Dil Hi Hai Subhanallah.

Misal ke Taur per Agar Hamare Hath cut Jaaye ya tange Tut jaen To Hamen Maut nahin aati Lekin Agar Hamara Dil Band Ho Jaaye To Hamen Maut a Jaati Hai Kya Pata Chalta Hai yah Pata Chalta Hai Ki Dil Hamari body ka sabse Aham organ hai.

Dusre Lafzon Mein Yun samajhte Hain Ke Dil Ke bagair insani zindagii ka koi tasawwur nahin Aur Dil Ki durustgi ke bagair Imaan ka tasawwur durust Nahin.

To bus ISI Dil Ko Hamen Sidha karna hai aur isko Allah Tala ke sath lagana hai Kyunki Hamare Duniya Mein hone ki vajah Allah Tala hai aur Allah Tala Ne Hamen sirf apni Ibadat ke liye Paida Kiya Hai.

Dil pe baat karne ke liye to bahut sari baten hain lekin yah blog bahut Lamba ho jayega Dil Pe tarbiyat bhi Aati Hai Jo itada Se Hi bacchon ki karni padati hai jo ki Ham auraten is chij Ka Khyal Nahin rakhte.

Hamen Agar Badon se koi problem Hoti Hai To Ham bacchon Ke Samne Unki buraiyan Karte Hain Jiski vajah se bacche bhi Unse Nafrat Karte Hain yah man Baap hi sikhate hain.

Allah Tala Hamein is chij se Mehfooz Rakhe Agar Ham Aisa Karte Hain To Hamen apni Taufik se is Gunah se nikale aur Agar Nahin Karte to Alhamdulillah Allah Tala Hamen Hamesha aisa hi rakhen.

Kyunki Jis aayat ko Ham padh rahe hain usmein Allah Tala Ne saaf saaf bataya hai ki Jinke Dilon Mein Bimari hai To Allah Tala Unki Bimari Badha Dete Hain aur unke liye Azab Hai.

 Qayamat Wale Din jab vah Allah Tala ke pass Jaenge to unhen hamesha wala Azad Diya Jayega Jo naak hoga musalsal ajeeyat wala Hoga usmein Koi wafa nahi hoga Allah Tala Hamen is Bimari se mahfuz rakhen Ameen.

No comments:

Powered by Blogger.