وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَبِٱلْيَوْمِ ٱلْـَٔاخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ (8)
يُخَـٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ (9)
Puri Ayat ka Tarjuma :
Ayat 8:
“Aur kuch log aise hain jo kehte hain hum Allah aur aakhri din par iman laye, jabke asal mein woh momin nahi hain.”
Ayat 9:
“Woh Allah ko aur un logon ko jo iman laye dhoka dete hain, lekin asal mein woh apne aap hi ko dhoka dete hain aur unhein iska ehsas bhi nahi hota.”
 |
Qur’an ko Samjhane |
Word by Word Tarjuma:
Ayat 8:
وَمِنَ Aur (kuch) mein se
ٱلنَّاسِ Log
مَن Aisa shakhs jo
يَقُولُ Kehta hai
ءَامَنَّا Hum iman laye
بِٱللَّهِ Allah par
وَ Aur
بِٱلْيَوْمِ Din par
ٱلْـَٔاخِرِ Aakhri (din)
وَمَا Aur nahi
هُم Woh
بِمُؤْمِنِينَ Momin (iman wale) hain
Ayat 9:
يُخَـٰدِعُونَ Dhoka dete hain
ٱللَّهَ Allah ko
وَ Aur
ٱلَّذِينَ Un logon ko jo
ءَامَنُوا۟ Iman laye
وَمَا Aur nahi
يَخْدَعُونَ Dhoka dete hain
إِلَّآ Magar / siwaye
أَنفُسَهُمْ Apne aap ko
وَمَا Aur nahi
يَشْعُرُونَ Unhein ehsaas hota / woh mehsoos karte/wo shaoor rakhte
Ayat number 8 r 9 ke bare mein thoda sa samajhne ki koshish Karte Hain.
Aayat number 8 mein Allah Tala aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Farma Rahe Hain ke aapke sath Kuchh log Aise Bhi Hain Jo Kahate Hain Ki Ham Imaan lae hain lekin Asal Mein vah Imaan lae hi nahin vah Momin hai hi nahin vah dikhava kar rahe hain.
Vah log Imaan kyon nahi late Kyunki vah log Imaan Lana hi nahin Chahte UN Logon Ka Is Tarah Koi Dil Hi Nahin Hai.
Is Baat Ko Ham Aise samajh sakte hain ki Hamara Koi friend apni dilchaspi wali Jagah per Jo use pasand hai ya Jo game use pasand hai vah Kahta Hai Mere Sath khelo lekin aapko vah Pasand hi Nahin Hai To aap sirf Apne dost ko Khush karne ke liye Khel Lete Hain lekin aapko usse Koi maja Nahin Aata.
Aur aayat number 9 mein Allah Tala Farma Rahe Hain ki vah log Dhokha Dete Hain Allah Tala ko vah samajhte Hain Ki ham Jo kar rahe hain vah Koi Nahin dekh raha Lekin vah Jante Nahin ke dhoka woh Nahin de rahe balki Allah Tala UN Logon Ko Dhokha Dete Hain aur vah Jante hi Nahin samajhte hi Nahin.
Ab baat kya hai ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Daur Mein Bhi munafikin Hote the Jo Kahate the ki ham Aapke Sath Hain aur aapse Aakar Din Ko sikhate the Lekin use per Amal Nahin Karte The is vajah se UN Logon Ko munafikin Kaha jata hai.
Chale kuch ghoor o fiker Ki baten sikhate Hain.
Hum Hum Khud Se Puchte Hain Ki Ham kaun si category mein Aate Hain Kya ham Momin hai ya FIR munafik Kyunki ham Jo sikhate Hain usko Sikh kar Bhul Jaate Hain.
Kyunki Jab Tak Ham Kuchh Sikh Rahe hote hain ya padh Rahe Hote Hain tab tak Hamara Imaan Hamen Kahta Hai Ki Ab Main acche kam karunga Lekin Jaise hi ham Kuchh Majlis se uthate Hain To apni masroof Yad mein Sab Kuchh Bhul Jaate Hain aur use per Amal Nahin karte.
Quran E Pak Woh Kitab hai Jisko Allah Tala ne Hamen Samjhane ke liye najil Kiya Pichhle Logon ki baten Bata Kar Hamen daraya Taki ham use Tarah ke kam na Karen .
Kyunki UN Logon Ne Gunah kiye aur vah sab ke sab khatm Ho Gaye Allah Tala ne unhen Ek Hi Din Mein Ek Hi Din Mein Azab bhej kar Khatam Kar Diya.
Quran E Pak sikhane sikhane aur Amal Karne Ki Kitab hai Allah Tala se Dua Hai Ki Allah Tala Hamein sikhane sikhane aur Amal Karne Wale Logon mein se banaen. Aaj ke Sabak Mein Humne Kya Sikha ki vah log Chhup Chhup kar baithte the aur Jhooth bolate the.
Inshallah aaj se Hum koshish Karenge Ke Chhote se Chhota
Jhooth bhi Na Bole majak mein bhi Na Bole aamin.
No comments: