Ayat number 3:Surah Al-Baqarah
الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِالْغَيْبِ وَيُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنفِقُونَ
![]() |
Gheb per imaan lana |
Word by Word Tarjuma
الَّذِينَ : woh log jo.
يُؤْمِنُونَ : iman laate hain.
بِالْغَيْبِ : ghaib par .
وَيُقِيمُونَ : aur qayam karte hain .
الصَّلَاةَ : namaz ko.
وَمِمَّا : aur jo kuchh.
رَزَقْنَاهُمْ : humne unhein rizq diya.
يُنفِقُونَ : woh kharch karte hain.
Sada Tarjuma
“Woh log jo ghaib par iman laate hain, namaz qayam karte hain aur jo kuchh humne unhein diya hai us mein se kharch karte hain.”
Tafseer:
Ayat number 2 Mein Humne muttakim ka zikar Pada tha to is aayat mein ham muttakim ki sifaat padhenge ke muttaki Hota kaun hai.
Taqwa wale log Kaun Hote Hain?
1. Ghaib par Iman
Ghaib ka matlab hai vah chijen Jo Hamen Najar nahin aati ya jinhen Ham apni Aankhon Se dekh Nahin Sakte.
Jaise: Allah Ta’ala ki zaat, farishte, jin, qiyamat ka din, jannat, jahannum, hisaab kitab.
Momineen ki pehli pehchan hi ye hai ke woh sirf wahi nahi maante jo samne dikh raha hai, balki jo Allah aur Nabi ﷺ ne bataya us par bhi yaqeen rakhte hain.
2. Namaz Qayam Karna
Namaz qaim karna Aur Namaz Ada karna ismein bahut jyada Fark Hai Hum log Namaz ko Ada karte r qaim nhn karte.
Kyunki ham log Muslim Gharana mein Paida hue Humne Apne wale Den ko Dekha ke vah namaj padhte Hain aur Unki Dekha Dekhi Ham bhi padhne Lage.
Namaz Kayam karne ka matlab hai ke Jab Hum Azan Sune to apna Har kam Chhod Den aur sabse pahle namaj ko ahmiyat den.
Namaz Islam ka pillar hai aur momin ki asli pehchan hai.
3. Rizq mein se Kharch Karna
Momineen apna maal sirf apne liye nahi rakhte, balki jo kuch Allah ne diya hai usay dusron par bhi kharch karte hain.
Is mein zakaat, sadqa, khairaat, waliden par kharch, rishtedaron ki madad, aur gareebon ki madad sab shamil hai.
Ye aadat insaan ko bukheel aur khudgharz banne se bachati hai aur dil ko naram karti hai.
Sadke mein sabse pahla Sadka apni Jaan Ka Sadka Ke Jab aazan Ho to namaz ke liye Daud lagao Apni Jaan Ko kharch karo Apne Malik Apne Allah Ke Liye.
Sabaq:
1. Iman ka matlab hai ghaib par yaqeen rakhna.
2. Namaz ko lazmi taur par qayam karna zaroori hai, bina iske momin mukammal nahi hota.
3. Allah ka diya hua maal sirf apna haq nahi, balki doosron ka haq bhi us mein shamil hai.
Hadith :
رسول اللہ ﷺ se Jibreel علیہ السلام ka mashhoor waqi’a hai jo Hadith-e-Jibreel ke naam se jana jata hai.
Aap ﷺ se Jibreel ne poocha:
"Akhbirni ‘anil iman" Mujhe iman ke bare mein bataiye.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"An tu’mina billaahi, wa malaa’ikatihi, wa kutubihi, wa rusulihi, wal-yawmil aakhir, wa tu’mina bil-qadari khairihi wa sharrihi."
(صحيح مسلم، حديث 8)
Tarjuma:
"Iman yeh hai ke tum Allah par iman lao, uske farishton par, uski kitabon par, uske rasoolon par, Qiyamatpar ke din pr aur taqdeer par, uski achhi ho ya buri."
Wazahat
Ye hadees wazeh karti hai ke ghaib par iman sirf Allah ki zaat par nahi, balki un tamam ghaibi cheezon par hai jo Allah ne batayi hain.
Allah ke farishte, unka kaam, Jannat-Jahannum, Qiyamat, hisaab kitab sab ghaib mein shamil hain.
Isi wajah se Quran ke shuru mein muttaqeen ki pehli sifat yeh bayan ki gayi ke woh ghaib par iman laate hain.
#gheeb per iman# Quran #hdees #taqwa
mashALLAH ALLAH HDMI Lilah
ReplyDelete